Najaane kya dhundta hu main
Mujhe khudko nahi hai pata
Kuch kehna chahta hu main
Par kyu saare alfaaz hai lapata
Yeh waqt yeh hawa yeh khushboo
Mujhe yaad teri dilaati hai
Tum, main, sab to hai ek sapna
Jo toot jaaye to sabko rulaati hai
Pal bhar mein tu tham si gayi
Jaise meri saanse ruk si gayi
Fir yeh ehsaas hua mujhe ki main to kuch bhi nahi
Sirf teri parchaayi hoon
Jise tujhse judaa rehna hai
Mere zindagi ki hakeekat hai yehi
Isiliye shaayad darta hu sone se
Ki kahi agar neend lag jaaye to subah hogi
Aur roshnee tujhe mujhse door kar jayegi
Isi khwaaish mein jaagta rehta hu
Ki tu aaye aur yeh parchaayi sach ban jaaye
Nahi jeena bin tere yeh tay kar liya hai
Fir chahe maut ki kyu na mil jaaye!