Showing posts with label Pyaar. Show all posts
Showing posts with label Pyaar. Show all posts

Tuesday, November 02, 2010

Maut agar mil jaaye ...

Main tere paas nahi
Matlab yeh nahi ki main tere saath nahi
Lambi si judaai hai
Matlab yeh nahi ki koi jazbaat nahi

Yun to pehchaan gehri hai aapki
Fir bhi koi mulaaqat nahi
Jeene ke liye to hum jee lete hai
Lekin iss zindagi mein woh baat nahi

Maut agar mil jaaye
Toh khushnaseeb hum honge
Jitna khudse nahi
Utna aapse hum kareeb honge
Iss janam mein aapke na ho sake
Agle janam mein hum jaroor humraaz honge

Friday, October 29, 2010

Arz hai ... Part II

Tumhe paane ki chaah main
Main puri tarah barbaad ho jaau
Tumne agar bichaayee maut hai
To us kabar pe bhi main so jaau

Arz hai ....

Ek baar maut mili
Fir bhi baar baar marne ko jee chahta hai
Kaatil hai agar tumhari aankhen
To har baar shikaar hone ko jee chahta hai

Saturday, August 28, 2010

Pyaar

Pyaar karke aasaani se bhul jate hai log
Aur fir hamdardi jataate hai
Lekin hame hamdardi nahi pyaar chahiye
Yeh unke kaun samjhaye
Isliye hum apne aap ko samjha lete hai
Unse nafrat karna to hamari fitrat mein nahi
Isliye hum apne aap se nafrat kar lete hai.

Pyar Karne Wale Hi Kyon?

Pyar karne wale hi
Kyon hame choda karte hai
Sapne dikhane wale hi
Kyon unhe toda karte hai

Aksar log kehte hai ki
Zindagi hasne ka naam hai
Hasi dene wale hi
Kyon fir rulaya karte hai

Gehre sagar mein se bachayi thi
Doobti hui hamari kashti
Lehron se bachane wale hi
Kyon fir dubo diya karte hai

Unhone hi sikhayee thi
Yeh ulfat-e-mohabbat
Aise log hi
Kyon fir nafrat kiya karte hai