Wednesday, January 26, 2011

Main thak chuka hu



Ek din bheed mein chalte chalte achanak yeh mehsus hua ki main bhi bheed ka ek hissa ban chuka hu. Bachpan mein jo lagta tha ki main dusro se alag hu, main zindagi mein kuch alag karke dikhaunga, aaj sab jhooth lagta hai. Aaj lagta hai ki main bhi un hazaaro laakhon logon ki hi tarah maamooli hu. Maine kuch bada kaam kiya nahi hai aur aisa lagta hai ki shayad kar bhi nahi paaunga. Kayi sapne tut ke choor ho gaye hai aur jo bache hai who aaj bhi adhoore hai. Aur najaane kyu mann mein kahi yeh darr hai ki yeh saare sapne kabhi poore nahi honge. Unko poori karne ki yeh jo bhaag daud hai who najaane kyu aaj bematlab si lag rahi hai. Thak chuka hu main sabko jawaab dete dete, thak chukka hu main sabko samjhate samjhate. Aur sabse jyada main apne aap ko samjhake thak gaya hu. Ab aur naahi himaat hai, naahi hausla hai, aur naahi taakat hai ki main iss duniya se ladhu, main apne aap se ladhu. Main thak chuka hu.

No comments:

Post a Comment