Ek pal toh mujhe dekhati sharmaayi thi aankhein
aankhon se gujarata huwa muskaan ka saaya
shaayad meri khaamoshi ne hai keh diya tumse
woh raaj jo main tumse kabhi keh nahi paaya
Kal kya hoga, ye mat socho
tum ye dekho, ki shaam ke daaman mein kya hai
madham madham si roshaniyon mein, dhun pe machalate jismon par halki si damak
lehraati huyi sandal baahein
balkhaati huyi resham julfein
ye ang ang, ye jhalak jhalak, sheeshon ki khanak
sheeshon ko chhute naazuk labj, jinme shaam ki surkhi hai
hirani si vaishi aankhon mein, anjaane se paigaam basein
ye dekhke inko behake to ilzaam kise
in lamhon ke pyaalon mein jitni masti hai
saari ki saari tum pi lo
is shaam ko ji bharke jilo
kal jo bhi hoga dekhenge
Mujhko teri aawaaz se khushboo aati hai
aur khushboo mein rang dikhaayi dete hai
tu jab nahi hai tab bhi tu hai saath mere
milon se chhute hai tujhko haath mere
woh jo teri saanson mein hai ghulein huye
kahin rahoon woh geet sunaayi dete hai
baadal, titli, kaliyaan, lehrein, phool, hawaan
ye sab tere roop dikhaayi dete hain
main hoon, tera naam hain, teri baatein hain
har pal dohraata tera afsaana hoon
mujhko to abb hosh nahin hain
tu hi bata, sab kehte hain main tera deewaana hoon
- Javed Akhtar
No comments:
Post a Comment